MERI AWAAZ

Coming-of-Age Girl:
(She’s standing by a window, fists clenched, eyes welled up but not crying anymore. Her voice is filled with pain, anger, and a longing to be heard.)
Mujhe saans lene do... bas ek baar... meri marzi se.
Har waqt yehi sunne ko milta hai—“Yeh mat pehno”, “Wahan mat jao”, “Log kya sochenge ?”
Log kya kahenge?
Log toh kuch bhi soch lete hain,Kuchh bhi keh dete hain, par aap log kab samjhenge ke main kya mehsoos karti hoon?
Main koi machine nahi hoon jo har order follow kare...aap kaho ON to on aap kaho Standby to Standby aur OFF to OFF |
Main bhi ek insaan hoon... emotions hain, sapne hain,Meri bhi ek duniya hai... par yeh sab jaise kisi ko dikhta hi nahi.
Mujhe toh bus ek puppet bana ke rakha hai...
Subah uth, ghar ke kaam kar, padhai kar, shaant reh...bhai ki sun,Ghar ke kaam Sikh,ye ladko se dur reh wo mat kar yahan mat ja aise mat baith aise mat let ...dheere bol...dupatte ka khayal rakh...
Shaant reh? Shaant reh ...
Kaise shaant rahun jab andar se har din kuch toot raha hai?
Aapko lagta hai main ziddi hoon?
Main bigad gayi hoon?
Par kya aapne kabhi socha ki main bas samjhi jaane ki koshish kar rahi hoon?
Har baar jab main kuch kehna chahti hoon, toh ya toh daant milti hai, ya phir silence...
Jaise meri baat ka koi matlab hi nahi...
Toh main kis se baat karun? Kaun hai jo sunega bina judge kiye?
Aapko lagta hai mobile zyada chalati hoon... friends ke saath zyada time bitati hoon...
Kya karun? Wahi toh log hain jo mujhe meri tarah dekhte hain... bina kisi "should" aur "shouldn't" ke...
Main bas jeena chahti hoon... apne tareeke se...
Kya galat hai agar main khud ke liye khush rehna chahti hoon?
Apne decisions lena chahti hoon?
Main kisi ki property nahi hoon jiske upar har waqt rules thope jaayein...
Main ek insaan hoon, aur mujhe apni awaaz chahiye—apna space, apna truth.
Agar aap mujhse pyaar karte ho, toh meri khushi mein meri azaadi dhoondo...
Bas ek baar... meri aankhon se duniya dekh kar dekho...wo duniya jo meri hai ...
Ho sakta hai...
Aapko main phir se pyaari lagoon...aur apko ehsaas ho ki haan isse wo banne pe majboor nahi karna chahiye jo ye nahi hai
Balki ise koshish to karne dein wo banne ki jo .... jo ye ban na chahti hai...
Koshish to karein aap.
Back to Home
Like
Share