MERA APNA SHAHRUKH KHAN PART 2
Uski baatein… uske aansu mujhe bechain kar rahe the, mera dil ghabra raha tha.
Phir usne jo kaha... mere hosh hi udd gaye the..
Main usse ek tak takti rahi…
Sajid ne guldaste ko dekha aur ladkhadati hui zuban se bola,
Etni si umar mein ammi ke Kabra pe jaunga..aisa toh kabhi khwab mein bhi nahi socha tha,
“Yeh phoolon ka guldasta unhi ke liye hai… wahin ja raha hoon. Kal unka inteqaal ho gaya tha"
Sajid ki baat sunte hi mere chehre pe ek daya ka bhaav ubhar aaya tha
Usne apni baat jaari rakhi,
“Mere Abbu Mumbai mein rehte hain. Ammi ko bina bataye unhone doosri shaadi kar li...
Ammi ko pata chala toh khoob royin..aur bardasht nahi kar saki...Mai wahin tha unke paas..achanak unki aankhein band hone lagi.. aur woh chali gayin.khuda ke paas,
Abbu ne hamesha mujhe aur Ammi ko sataya hai.
Zameenein, ammi ke gahne, ek chhote se ghar ko bhi girvi rakh diya abbu ne,
aur sare paise lekar Mumbai chale gaye. Kai saal ho gaye, aaj tak laut kar nahi aayein,
Ammi ko umeed thi ki ek din Abbu laut kar aayenge, unhe apni galti ka ahsaas hoga…
Lekin unhone apni biwi aur beta... dono kho diye.
Ab mere paas na ghar hai, na college ki fees dene ke paise. Main bilkul akela pad gaya hoon.
Kal main Nani ke yahan chala jaunga... Shayad phir kabhi laut kar na aaun.
Isiliye socha ki aaj tumse aakhri baar mil loon. Ji bhar ke dekh loon.
Mehrunisa..main tumhein pasand karta hoon..yah Sach hai, Main har roz yahi sapne dekhta tha ki ek din tum meri dulhan banogi.
Lekin tumne hamesha mujhe ignore hi kiya hai. Mujhse chhup-chhup ke rehti ho, ki kahin main tumse baat na kar loon.
Dekho, upar wale ne tumhari sun li. Ab main tumhare saamne kabhi nahi aunga.
Bas yahi kehne aaya tha. Agar meri wajah se tumhein kabhi takleef hui ho… ya mere in khayalon se tum tang hui ho… toh please mujhe maaf kar dena
Wo apna dard byan karta raha… aur main usse ek nayi nazron se dekhti rahi, pahli baar kisi ka dard apna sa lag raha tha, wo jo kehta raha, mai sunti rahi..
Sajid ki baaton ne mujhe ek ajeeb si uljhan mein daal diya tha
Mere honth kabhi khulte, kabhi band ho jaate...
Main samajh hi nahi pa rahi thi... main kya bolun? Kya jawab doon Sajid ko?
Main kuch kahne hi wali thi,isse pehle hi Sajid ne bade sachchai wale andaz mein kaha..
"Pyaar toh ho gaya hai tumse. Shayad tumhare baad koi aaye ya na aaye…
Tum mere khayalon se jaati hi nahi.
Lekin main tum par koi dabav nahi banaunga. Tumhari zindagi... tum jise chaho, usse haq dena.
Khuda tumhein hamesha khush rakhe. Kyonki jab tum hansti ho khoobsurat lagti ho, es khoobsurati ko sada kayam rakhna, Jo tum chaho, wo tumhein hamesha milta rahe,
Main ja raha hoon... Khuda Hafiz.”
Yeh kehte hue, Sajid ne meri aankhon mein gaur se dekha..kuch second baad uski nazrein jhhuk gayin, usne aasman ki taraf dekha aur ek nazar mujhe, fir udaas chehre ke saath mud kar dheere kadmon se chala gaya...
Main wahin chupchap khadi rahi...
Uske jaane ke baad bechainiyon ne mujhe jaise jakhad liya tha...
Main sochti rahi — kya karun, kya na karun?
Use awaaz doon ya na doon?
Samne hi garden tha.. wahi paththar ke lage bench tak gayi aur baith gayi.
Thodi der baad, jab aankhon mein nami mehsoos hui to haath se pochha...
Meri aankhein sach mein bhigi thi.
Yaisa Lag raha tha jaise bahut hi anmol cheez kahin kho gayi ho..
Kya ho raha tha mujhe?
Main fir bhaag kar garden ke gate tak aayi...
Aur wahin khadi hokar dekhti rahi jahan pehle Sajid khada tha...
Kuch der baad mere kadam ghar ki taraf badhne lage..
Lekin bechainiyan aur Sajid ka udaas chehra... mera peecha nahi chhod rahe the.
Mere dil mein sawalon ka tufaan tha...
Main bas yahi sochti rahi...
Kya mera Sajid ko ignore karna, usse bhav na dena... meri majboori thi?
Ya usse keh dena chahiye tha... mujhe bhi tumhara es tarah dekhna, muskurana, achha lagta tha.
Tum sabse alag ho sajid, baki un ladko jaise nahi ho jo
galat comment karte hai , harkatein karte hai..
Main bhi toh kabhi-kabhi chupke se dekh leti thi… aur sukoon mehsoos karti thi.
Kitna seedha hai Sajid... kitna pyaara.
Ya Allah! Tune yeh kya kiya?
Usse bilkul akela kar diya?
Bechari uski Ammi ne kya bigaada tha?
Kya ek aurat hi sab rishte sambhalein? Vahi intezaar kare?
Vahi sabke taane sune, sabki zimmedariyan uthaye?
Aur saari pabandhiyan bhi ek aurat hi sahe?
Kya aurat ki khwahishein mar dena zaroori hai?
Aaj mujhe bhi wahi mehsoos ho raha tha...
Meri khwahishein, meri zindagi... mere haath mein nahi thi.
Main toh bas ek remote hoon — jiska driver meri family hai, aur puri family driver mere Abbu.
Agar meri khwahish, meri khushi, meri zarurat mere haath mein hoti,
Toh main Sajid ko kab ka rok leti.
Jab pehli baar uski aankhon mein maine khud ko dekha tha, main keh deti —
"Haan, mujhe bhi tum pasand ho…"
Kash keh paati...
Inhi khayalon mein doobi hui main ghar pahunchi.
Darwaza khatkhataya... Ammi ne khola.
Mere chehre ki rangat dekh kar puchha,
“Kya hua? Tera chehra itna bujha hua kyun hai? Kisi ne kuch kaha?”
Main chup thi... bag table par rakha aur kamre mein chali gayi.
Ammi ki fir se awaaz aayi..
“Kya hua? Kuch bolti kyun nahi?”
Main ne kaha,
“Kuch nahi hua Ammi... bas sar mein dard hai.”
Ammi ne mere paas aakar aankhon mein dekha,
“Jhooth bol rahi hai na? kuch toh hai?
Main Aankhen chura kar boli,
“Ammi… kal ke result ka tension hai. Mujhe lagta hai Kuch paper sahi nahi gaya... agar fail ho gayi ya kam marks aya toh Abbu bahut chillayenge.
Ammi muskurayi aur boli..
“Pagal hai kya? Isliye pareshan hai? Kuch nahi hoga, Allah tere saath hai.”
Phir unhone kaha,
“Abhi main adrak wali chai bana kar laati hoon, pi le aur thoda so ja.”
Ammi kitchen mein chali gayi.
Maine takiya uthaya aur god mein rakhkar bed pe so gayi...
Mere mann mein do duniyaan bus chuki thi — ek meri, ek Sajid ki.
Main do rathon pe sawar thi... aur driver main nahi, meri family thi...
Jahan chahenge, mudna padega. Jab chahenge, rukna padega...
Aankhein bojhal ho rahi thi..ye jo khyalon ki duniya thi mere liye alag thi..aur esi duniya me Mai khoyi hui thi, achanak ammi ki awaaz aayi..
“Le beta, chai pi le.”
Maine cup uthaya, ek chuski li…
Lekin aaj adrak wali chai bhi fiki lag rahi thi.
Maine aadhi chai pee... cup side mein rakha...
Aur phir se so gayi...
Pal pal ke sath aur bhi ulajhti un uljhanon ke saath kab meri shaam hui,Kab shaam se raat hui, Aur ankhon hi ankhon mein kab raat se subah hui,
jis bistar par meri hassen sapno ki anginat duniya thi, sukoon bhari karvatein thi,aaj usi bistar par mano neend me mujhe,mujhse alag kar diya tha..
Mai uthi aur khud ko aainein mein dekha,
Meri aankhon mein bharipan tha..meri udasiyon ki gawah thi meri aankhein, khud ko majboot kiya aur kapde change karke kamre se bhahar aayi..
dekha ki meri Ammi aur baki sab bahar khade the,Hairani is baat ki thi ki Ammi ke hath me mithahian thi...
Main kuch samajh paati, usse pehle hi sab bol pade
“Congratulations! Tum pass ho gayi ho… woh bhi ache numbers se!”
Abbu ne fakhr se kaha…
Mujhe naaz hai apni mehrunnisha pe..
Tabhi kisi ki awaaz aayi,
“Arey bhai, bhanji kiski hai?”
Sabki nazrein mud gayin…
Mamu, mami aur unka beta Sarfaraz aage aaye… sabka duaon wala haath mere sar pe tha…
Meri udasi thodi muskura uthi thi, mai bhi us khushnuma lamhe me ghul gayi thi.. aur dil hi dil me sochne lagi thi ki, kisi ki nazar na lag jaaye
Magar us namurad soch ne sach hone me agle ek pal ka bhi intezar na kara,
Aur dekhte dekhte mere Mamu aur Abbu ne…
Mere sapnon ko ek pal mein dafan kar diya...
Agle part mein jaaniye:
1. Kya Mehrunisa ko Sajid dobara milega…?
2. Aisa kya kaha Mehrunisa ke Abbu aur Mama ne…?
3. Mehrunisa ka aisa kya sapna tha jo poora nahi ho saka…?
Back to Home
Like
Share