KALABHILASH

KALABHILASH
1st Scene Narrator : Jagah ka naam Cricket Road. Naam sunke shayad aapko hasi aa rahi hogi lekin is naam ke peeche bhi ek logic hai. Kam se kam do-teen generation se cricket is locality ke sabke dil ke bohout kareeb hai. Yahaan padhai ke saath saath bacchon ko cricket bhi bohout nishtha ke saath sikhaya jaata hai. Maan lijiye Cricket Vishwacup ke saath saath bachchon ka board exams chal rahe hain. Koi diqqat nahi! Bachche poora din padhai karne ke baad kum se kum ek ghanta unka cricket khelna bhi avashyak hai. Lekin ye rule hai sirf yahaan ke bachchon ke liye. Kyunki jab bhi Cricket Vishwacup aata hai, yahaan ke saare budhe log, sab apna kaam dhanda lagbhag chhod hi dete hain. Kyunki tab sirf aur sirf cricket ka raaj chalta hai. Abhi yahaan zor ki practice jaari hai. Kyunki agle mahine Mittir ke team je saath match hai. Uske liye ek ground bhi rent kiya hua hai. Ladies Park. Bhowanipore ke bilkul paas. Abhi bat lekar ground pe utar raha hai Kalu. Gendbaazi karne aa raha hai Nitai. Char feet Das inch ki kat ke bawajoot, Nitai ke gendbaazi ke saamne tik paana behad mushkil kaam hai. Nitai ne gend pheka aur Kalu bowled! SAB Out! KALU Ek minute ruk! Ye kaunse angle se out hai? Main to ready bhi nahin thha! NITAI Ye kaisi baat hui Kalu bhaiya! Aapne bat zameen pe knock kiya, uske baad hi maine gend pheka. Kaise umpire ho aap Bikash bhaiya! Bina kuchh bole bas khade tamasha dekh rahe ho! NARRATOR Bikash ne moo bana kar kaha… BIKASH Sala ek ball bhi tik nahin paya! KALU Are mujhe kaise pata hoga itna zorse daalega wo. Aap not out bol do na! BIKASH Are ye abhi possible nahin hai. Saab samajh jayenge. KALU Are Bikash bhaiya! Kuchh to kaho! BIKASH Hanh! Hanh! OUT! SAB Lajawaab Nitai! Kya gend pheka tune! Waah! BIKASH (Thhoda ghabrakar) Abhi bhi 10 run baaki hai. Haath mein bache 2 ball. Jeetne ke liye ek chouka aur ek chhakka to legenge hi. NITAI Jisko bhejna hai bhej do! Kuchh bhi kar lo, aur tum log harne hi wale ho! BIKASH Abhi humare team se batting karne aega Abhi! NARRATOR : Abhi. Poora naam Abhilash Dutta. Uske bachpan mein hi ma baap guzar gaye. Tab se wo apne chacha ke paas pala badha. Uske chacha ne bohout pyaar se paal pos kar bada kiya. Abhi class 10 mein padta hain. Saamne uska Test aane waala hai. Wo chhatra theekthaak hai. Lekin player, dhamakedaar! Aur wohi hai uske chacha ki sabse badi chinta. Kya hai ke ek gareeb se doosron ki gareebi dekhi nahin jaati. Raat din wo Abhi ke peechhe daaudta rahta hai, taaki wo thhoda padhai kar le. Pados wala Buddha Bipin kabhi kabhi kahta hai… BIPIN Abe Jodu(Abhi ke Chacha)! Tu to bachche ko padhai karwane ke chakkar mein uska dimaag kha jaega! Usko khelne de. Player bana use. Yahaan naam roshan karega, aur tera bhi. NARRATOR Jodu kahata hai… JODU Suno Bipin bhaiya! Poori zindagi agar wo aisa anpadh raha to mere jaisa gareeb hi rahega. Padhai ke bina ye duniya kisiko izzat nahin deti. NARRATOR : Waise Abhi ko khelna hi zyada pasand hai. Use lagta hai ke padhai naa bhi ho to chal jaega. Lekin ek prashan Abhi ko hamesha satati rahti hai. Aisi ek locality mein poori zindagi guzaarne ke baad bhi uska Chacha, Jadab Dutta, Urf, Jodu, aise Cricket ke virudh kaise ban gaye? Abhi ke paas abhi bhi is prashan ka koi uttar nahin hai. Lekin wo kare bhi to kare kya? Ma baap ke guzarne ke baad yehi Chacha ne use apna bachcha jaise bada kiya. Uske baat ko Abhi asaani se taal bhi nahin sakta. Abhi bat lekar ground pe utarta hai. Nitai ball karne ke liye ready ho raha hai. Nitai ne apna run-up chalu kiya. Abhi bat uthakar ready hoke khada hai. Jaise ball aega, wo bat ghumake… BIKASH HOLD! SAB Are kya ho gaya? Ruk kyun gaye? BIKASH Please go. NARRATOR :Sabnedekha Tathagata aapne peeth par ek bag latkakar kahin jaa raha hai. Uski maa saath me hain. Dono mil kar cricket coaching ki taraf bad rahe hain. Tathagata ka parivaar samaaj ke tathakathit uchch sreni ka sadasya hai. Bohout sampatti hai un logo ke paas. Wo log yahaan ke baaki saare sreni ke logon se zyada milte nahin. Ek maalik naukar jaisa rishta rakhne ki koshish karte hain doosron se. Aur to aur yahaan ke khelkood ya phir Durgapuja mein bhi wo log zyada involve hona nahin chahte. Is samaaj mein paisa hi rishton ko jodta hai, aur wohi rishton ko todta bhi hai. Kya hai ke yahaan ke baaki bachchon ke saath Tathagata ka khelna allowed nahin hai. Kyunki uska STATUS alag hai. Lekin Cricket Road mein rahne ke naate agar tum cricket achha na khel pao to tumhari izzat ghatne lagti hai. Usi liye use cricket coaching bhi jaana padta hai. BIKASH Kya Tatha! Rath kidhar hai tera? KALU Shayad uske ghode ne leke bhaag gaya. (Sab haste hai) MA Beta, don't listen to them. Come on. NARRATOR Rasta phirse khaali ho gaya. Kalu daudke akar gend phekta hai. Abhi ghumake shot maarta hai. SAB Chakkaa! Yees! Bas abhi samhalke khel. Chouka chahie last ball pe. NARRATOR Kalu ki team ek doosron se aakhon ke isharon mein baat kar leti hai. Nitai phirse haathme ball lekar ready hota hai. Abhi bat ko zameen pe knock karke ready hota hai. Nitai daudke aata hai. Poora zor lagaakar gend phekta hai. Abhi phirse bat ghumata hai. Phirse Chakka! (Sab khushi mein chillana shuru karte hain) NARRATOR Saare milkar Abhi ko kandho pe utha kar naachne lagte hain. Lekin achanak… JODU Abhi! E Abhi! NARRATOR Abhi dekhta hai ke uska Chacha daudte hue uske taraf aa raha hai. Jaldi se niche utarkar wo bhaagne lagta hai. JODU Aur kitna sharminda karega mujhe? Ab to tere liye meri naukri bhi chali jaegi. Haraamzade! Jiske liye sab kuchh karta hun wohi pet pe laath marta hai. (Baatein chalti rahti hai. Scene khatam hoti hai.) 2nd Scene NARRATOR : Kaise bhi karke Chacha se bach kar peechhe ke raaste se ghoom kar Abhi ghar lautta hai. Ghar lautkar dekhta hai ke uska khana rakkha hua hai table par. Aur ek doosri katori mein kaafi saara chawal rakha hua hai. Usko saaf samajh mein aata hai ke Chacha ne khana nahin khaya. Lekin use samajh nahin aa raha hai ke Chacha itna kyun gussa ho gaye. Sone ke kamra ke andar jab uski nazar padti hai to dekhta hai ke Chacha so rahe hain. Wo dheere dheere unke paas jata hai. ABHI Chachu! O Chachu! Aap theek ho na? Kuchh hua hai kya? NARRATOR Chacha chup rahte hain. ABHI Aap mujhse baat bhi nahin karoge kya? Dekhie, abhi to pariksha bhi kaafi door hai. Yehin to mere liye khelne ka sahi mauka hai. Aur phir kuchh dino mein to wo Mitra ke wahaan tournament bhi hai. Agar main abhi practice na karun to kaise hoga? JODU Binoy Ji ne tujhe bulaya hai. NARRATOR Abhi chaunk jata hai! Binoy Ghoshal hain Tathagata ke pitaji. Is ilake ki mahaan parivaar ke mukhya. Wo zyaada logon se milte nahin. Kaha thha na maine- Status nahin milti. Jabbhi wo kisiko aapne ghar bulate hain, ya to us insaan ki naukri jaati hai, nahin to use ilaka chhodne ke liye bola jata hai. Aur to aur, usi Binoy Ghoshal ke karkhaana mein Abhi ke Chacha, yaani Jodu kaam karta hai. JODU Binoy Ji ne kaha ke teri kisi harkat se wo naaraaz hain. Pata nahin meri naukri rahegi bhi ya nahin. ABHI Lekin maine to kuch kiya bhi nahin! JODU Tu hi jaane tune kya kiya hoga. Tujhe unhone shaam ko bulaya hai. ABHI Lekin tab to hum sab practice karne jaenge. Do din mein match hai Chachu! JODU Teri ye practice mera poora sansaar jalakar raakh kar dega. Kaahin bhi kuch bhi karke aega aur mujhe bhugatna padega. ABHI Lekin maine to kuchh kiya bhi nahin! JODU Koi practice nahin hogi aj! Chupchap shaamko unse milke ayega. Dekhte hain wo kya kahte hain. Naukri na chali jae meri. Is haraamzaade ke liye meri poori zindagi barbaad ho gayi. Khudki to kabhi sansaar bani nahin. Kahaan maine socha apne bhateeje ko badha karke, use padhakar ek achha insaan banaunga. Ab wohi mere oopar shani banke mandra raha hai. NARRATOR Ab aisi baatein sunne ke baad kaun ghar pe rahe sakta hai. Abhi shaam ko jaakar Binoy Ghoshal ke ghar pohouncha. BINOY Aao! NARRATOR Abhi andar jake dekha ke Binoy Ghoshal apne Easy Chair par araamse baitha hai. Tatha uske baazu mein baitha hua hai. Un dono ke opposite side mein jo chair hai, uske paas khadi hai Tatha ki Ma, yani Binoy ki patni Uma. Achanak se ghusse mein wol bol padti hai… UMA Dekho kaise chupchap mu latka ke khada hai. Jaise ki use kuchh pata hi nahin hai. BINOY Tumne kal Shyamal se kya kaha? ABHI Kis baare mein Sirji? BINOY Tathagata ke baare mein. ABHI Mujhe kuchh yaad… BINOY Yaad nahin aa raha hoga, hai na? Tumne kaha ke Tatha ko tum gin kar ek ke baad ek chhae ball pe chhae chhakke maarne ki shamta rakhte ho! ABHI Sirji main to bas aisehi mazaak mein kaha thha. BINOY Shut up! Aisi mazaak karne ki himmat kahaan se milti hai tumhe? NARRATOR Abhi ko shayad zindagi mein itna darr kabhi nahin laga thha. Us din Binoy se zyada bhayanak thha Tatha ka chahera. Paas se achanak Uma bol padti hai… UMA Mujhe to ye samjh nahin aa raha hai aap usse itni baatein kyun kar rahe hain. Uske Chacha ko isi waqt karkhaana se… ABHI Maaji main haath jodta hun. Main apni galti sweekar karta hun. Lekin meri is galti ke liye mare Chacha ko sazaa mat dijiye. Main phir kabhi aisi baatein nahin bolunga. BINOY Hmmm.Dekho, tumhare Chacha ko main maaf kar sakta hun. UMA Ye aap kya kahe rahe hain! TATHA Papa ye aap kya… BINOY Main jo kahe raha hun theek hi kahe raha hun. Main uske Chacha ko karkhaana se nahin nikalunga. Bol sakte ho ke uspe mujhe daya aa rahi hai. Lekin sirf ek shart pe. NARRATOR Abhi aankhe pharke Binoy ko dekhte hue puchhta hai… ABHI Kaisi shart Sirji? BINOY Agle ravivarko Tatha tumhare saath sab ke saamne khelega. TATHA Papa main uske saath… BINOY Beta shaanti rakkho. Tumhara pita hun main. Main sirf tumhara bhala chahunga hamesha. Kaan khol ke suno Abhi. Tumhe pahli hi ball par out hona hoga. Lekin Tatha pahle batting karega. Nahin to use tumhe chhae ball par chhae chhakke maarne ka mounka nahin milega. Aur mujhe nahin lagta ke ball kaise daalna hoga, ye mujhe tumhe abhi bataane dena padega. (Uma aur Tatha ki hasi ki awaaz aati hai.) NARRATOR : Us din raat ko ghar lautkar Abhi ne kuchh nahin khaya. Sirf Chacha se kaha ke chinta karne ki koi zaroorat nahin hai. Uski naukri nahin jaegi. Asalmein gareebon ko kabhi samajh hi nahin aati ke ye bade log chahein to kitna neeche gir sakte hain. Ye ganda sach gareebon ke liye bohout ajnabi hai. Raat ko sote waqt Abhi apne aasoon poch kar Chacha se ek sawaal karta hai.. ABHI Chachu, aap chahte ho na, ke main ek bohout bada insaan banu? JODU Beta, ye kaun nahin chahega. Main to chahta hun ke tu itna bada bane ke paper mein teri tasveer chhape. Har koi mujhe dekhkar kahe, wo dekho, Abhilash ke Chacha jaa rahe hain. NARRATOR Abhi Chachako kas ke pakad leta hai. Dheere dheere use neend aane lagti hai. Wo khaali pet hi so jata hai. 3rd Scene KALU Abhi! E Abhi! Darwaaza khol! Abhi! NARRATOR Agle din subah ko Kalu ke chillane ki awaaz se Abhi ki neend khulti hai. Wo darwaaza khol ke dekhta hai Kalu ke haath mein ek akhbaar hai. ABHI Ye kya hai? KALU Are ye dekh! Pahli hi page par Tatha ki tasveer chhapi hai. ABHI Dikha zara. KALU Ye dekh. ABHI Hmm.Usne zaroor achha khela hoga. KALU Are nahin re. Kal wo news channel wale uske club ke photos lene gaye thhe. To un sab ki photo chapwa diya akhbaar mein. Ye dekh. Wo sab hain photo mein. Jo ek run oe out hota hai uska bhi photo hai, aur jo century maarta hai uska bhi hai. Isme Tatha ki koi credit nahin hai. ABHI Tujhe pata hai, Chachu bhi chahte hain ki meri tasveer akhbaar mein nikle. KALU Zaroor hoga bhai. Tere andar wo talent hai. Are! Udhar dekh! NARRATOR Abhi mudhke dekhta hai ke door Tatha apna practice bag lekar, chahre pe sunglass chadhakar, haath mein akhbaar liye poore attitude mein practice ki taraf bad raha hai. KALU Dekha tune! Akhbaar mein photo kya chhap gayi bas chaal hi badal gaye saabke. Agar khud ke dum pe kiya hota, to main phirbhi maan leta. Saala poora rajkumaar jaisi harkatein kar raha hai. Jaan ke neeche kheench ke dene ka mann kar raha hai! ABHI Rahne de. Waisebhi usi ke haathon mujhe out hona hai. KALU Sun, tu uske baaton ka tension mat le. Wo jaesehi ball karega tu dabake chhakka maarna. Jodu Chacha ko wo log kaise karkhaana se nikaalte hain hum bhi dekh lenge. Zyada hi udh raha hai sala. Tu pahle bowling karega na? Aisa ball daalna ke chahera toot jae saaleka. Waise, kitne baje shuru hone wali hai aj? ABHI Chaar baje. NARRATOR : Hanh. Chaar baje. Aj chaar baje saabit hone ja raha hai ke kaun bada player hai Abhilash ke Tathagata. Aur ye dekhne ke liye ilaake ke saare log bhi jama ho gaye hai field pe. Door ek aalishan manzil par baithe hue hain BINOY Ghoshal aur uski patni Umarani Devi. Uma ke haath mein ek chhota sa hand fan. Poore field pe sirf do hi player. Shart sirf ek. Abhi ko Tatha ke saamne haar maanni padegi. Pahle Tatha Abhi ke chhae gend pe chhae chhakke maarega. Aur phir Abhi ko Tatha ke pahli hi ball par pavillion wapas lautna padega. Ye baat sach hai ke paison ka zor shayad is duniya ko bhi oolta ghoomne mein majboor kar sakta hai. Abhi gendbaazi karne wala hai. Binoy ne usse kah diya hai ki aise araamse ball karna hoga ke Tatha asaani se saare gend par chhakka chatka sake. Abhi ne ball kiya! Binoy khushi se chillane ke liye bilkul taiyyar hain! Lekin ye kya! SAB OUUUUUUUUUT!Bohoutbadiya Abhi! Tum hum sabki shaan ho! Shabash beta! NARRATOR Binoy Ghoshal sunn hokar phirse baith jate hain. Unka dimaag kaam nahin kar raha hai. Ye to shart mein nahin thha. Aakhir unka beta pahli hi ball par out ho gaya. Gusse se paagal ho gaye wo. UMA Shibu! Gaadi nikalo. NARRATOR : Uma ko ek pal bhi aur wahaan nahin rahna. Gaadi mein baithkar waapas ghar laut gayi wo. Lekin abhi bhi ek chance hai. Tatha shunya par out ho gaya. Yaani Abhi ko jeetne ke liye ek run to karna padega. Lekin shart ke mutaabik Abhi ko pahli hi ball par out hona hai. Shart ka pahla hissa shayad Tatha ki khud ki galti ke karan tooth gayi hogi- apne aap ko aise samjhakar Binoy ne qhud ko shaant kiya. Lekin Tatha kaisa ki ball kyun na daale Abhi ke paas hit wicket ho kar out hone ka mauka to hai hi. Aur Abhi shart pe peechhe hatne waloon mein se nahin hai. Tatha daudke ball karne aa raha hai. Uske dono aakhon se gussa phoot phoot ke nikal ke aa rahi hai. Aur Abhi haat mein bat pakad ke taiyyar khada hai. Tatha ne ball daala. Aur ye Abhi ne ghumake maara hai! Chhakka! SAB Jeet gaya! Abhi jeet gaya! Yaaaaaaayy! NARRATOR : Saare darshak daudte hue field par aa gaye. Dekh ke laga jaise koi mela lagi ho. Itne dino baad koi Binoy Ghoshal ko achhe se sabak sikhaya. Sabke saath kiye gaye gunah ka jawaab diya Abhi ne akela. Achanak zor se baarish hone lagi. Uske boonde aake Tatha ke aankhon ke aasuon ko dho diya. Lekin koi Abhi ke mu se wo badi si hansi nahin cheen paya. Har koi bohout khush hokar ghar laute. 4th Scene NARRATOR : Abhi raat ke aath baj rahe hain. Lekin baarish aur toofan kam hone ki koi naamo nishaan nahin. Ulta bad hi jaa rahe hain. Abhi Sare khidki aur darwaza bandh karke radio pe cricket ki commentary sun raha hai. Usne apna peela jersey pahen ke rakha hai. Usne aj ke match ke liye hi ye jersey pahna thha. Peechhe bade bade aksharon mein "ABHILASH" likha hua hai. Uske Chacha abhi tak ghar nahin laute. Kabhi kabhi khidki ke sheeshe se Abhi baahar ke mausam par nazar rakh raha hai. Abhi ke paas phone nahin hai. To uske paas Chacha ka koi pata dhoondne ki koi zariya nahin hai. Aaj bijli bohout kadak rahi hai. Uski awaaz sunkar Abhi dheere se Radio off karke usko cupboard ke oopar rakh diya. (Achanak koi darwaza khat khatata hai.) NARRATOR Abhi ko samajh aata hai ke Chacha ghar wapas aa gaye hain. Wo daudke jaata hai aur kundi niche karke darwaaza kholta hai. ABHI Itni kyun der kar di Chachu? NARRATOR Abhi dekhta hai ke uske Chacha sar se lekar paeron tak poora bheege huye hain. Wo sar jhukake khade hain. Unke mooh ek bhi awaaz naki nikal rahi. ABHI Chachu kya hua? Aap… NARRATOR Abhi aapni baat khatam kar paye uske pahle hi Jodu daudke ghar ke andar aata hai. Saamne Abhi ka bat rakha hua thha. Usko ghumakar zameen pe maarta hai Jodu. Bat beech mein se toot jata hai do hisso mein. Abhi Chacha ko shaant karne ki poori koshish karta hai. Lekin kuchh faeda nahin hota. Phir Jodu ghoomne Abhi ko baalon se pakadta hai. Aur phir wo Abhi ko kaske do thhapad lagata hai dono gaalon par. Abhi cheekhte hue rone lagta hai. JODU Saala sooar ka bachha! Tere liye aur kitna bhugatna hoga mujhe? Saala Rakshas! Bachpan mein hi apne ma baap ko kha gaya. Aur kitne logo ki zindagi tabah karke shaant hoga tu? Binoy Ghoshal ne tujhe kya karne ko kaha thha? Aapne aap ko bada hero samajhta hai na tu? Wo bade log hain! Unse bhidne ke baare mein sochna bhi paap hoti hai. Ab kahaan jaenge hum? Sun le harami ki aulad, meri naukri aur nahin rahi! Saab teri vajah se! Ab kya khaenge hum? Aur kitne logo ko kha jaega tu Sala!? Bol! Nikal! Nikal tu mere ghar se! Bhaiyya bhaabi jab gaye, tujhe bhi saala leke jaana chahiye thha haraamkhor! NARRATOR Jodu Abhi ko dhakka dekar ghar se nikaal deta hai. Abhi ne kuchh nahin kaha. Darwaza bandh karke Jodu poori raat rota raha. Un logo ko kaise samajh aega ke bade logon ke liye itna sa bhi apmaan bohout bada hota hai. Subah tak Jodu ko neend nahin aayi. Jabse Abhi ghar ke baahar gaya thha. Darwaje pe peeth lagaakar wahin baitha hua thha Jodu. Usne socha thha Abhi bhi baitha hua hai darwaaze ke uspar. Baarish mein bheeg raha hoga poori raat. Uspar se koi darwaaza khat khatata hai. Nahin! Bas! Bohout ho gaya! Ab use ghar ke andar le lena chahiye. Jodu darwaaza kholta hai. Lekin phir chounk jaata hai. Abhi ka koi naamon nishan nahin hai kahin. Darwaaze par Madhob Bhaiyya khade hain. Wo roz ki tarah subah ko akhbaar dene aaye hain. JODU Tumne Abhi ko kahin dekha kya? NARRATOR Madhob kuchh na kahekar Jodu ke haath mein akhbar dekar chala jaata hai. Jodu ko vyavhaar bada ajeeb lagta hai. Lekin use samajh nahin aa raha hai ke Abhi kahaan gaya hoga. Kalu ke ghar? Nahin. Kaafi door hai. Poori raat baarish mein utni door kaise gaya hoga? Bikash ke ghar? Lekin Bikash to poori family ko lekar Digha ghoomne gaya hai. To phir gaya kahaan? Jodu jab apne hi mann mein ye sab soch raha thha, achanak uski nazar padi akhbaar ke pahle panne par. Jodu ka dimaag sunn ho gaya. Usko laga jaise ek baraf ka gola uske peeth se guzar ke gaya ho abhi. Wo bas akhbar ki odh dekhte hue khada raha. Akhbaar ke front page par ek vikrit chehere ki tasveer. Wo chahera itna kshat-vikshat ho chuka hai ke theek se koi pehchaan nahin paega. Lekin usne jo kapda pahna hua hai wo Jodu achhe se pahchaanta hai. Abhi ne kal yehi peela jersey pahna tha. Jodu dheere dheere padna shuru karta hai- "Kal raat Bhowanipore ke paas ek laash mili hai. Vidyuteekrt hone ke kaaran is bachche ki maut hui hai. Abhi tak is laash ka naam pata nahin chala hai. Ilaake ke logon ka maanna hai ke is bachche ka ghar paas wale Cricket Road pe hi hoga. Usne peele rang ka ek jersey pahena hua thha. Aur peechhe naam likha thha ABHILASH". Akhirkaar Abhi ka naam akhbaar ke front page par chhapa zaroor. Uski tasveer ke saath. Yehi to abhilaasha (ichha) thhi Jodu ki.