DIL DOSTI SCOOTY LAST PART

Tezi se seedhiyan utarta ja raha tha Rinku, jaise uski saari tension uske kadmon ki raftaar mein sama gayi ho. Patli gali aur uljhe raasto se hote hue, Wo bahar aata hai sidhe sooraj ki tez roshni mein jisse uski ankhein chaundhiya jati hain
us din dhoop itni tez thi ki jaise suraj apne shikhar par khada ho, aur Rinku se poochh raha ho ki woh uski garmahat ko kitna jhel sakta hai. Rinku ka maatha pasine ki boondon se bhar gaya tha jinme se ek boond dheere se uske baalon ke paas se nikalti hui uski aankh tak pahunch jati hai, Apne haath se pasina ponchhte hue jab woh computer center ke paas pahuchta hai, toh door se hi uski nazar Chinu par pad jati hai.
Chinu apni hamesha ki beparwah aadat ke saath ek board se khelte hue uska intezaar kar raha tha. Uska chehra ek ajeeb si masoomiyat aur shararat ka mix tha—jaise usne apni life mein tension naam ki kisi cheez ke baare me kuchh suna hi na ho. Jaise hi usne Rinku ko tezi se daudte dekha, uske chehre par ek mischievous smile aa jati hai.
“Arre, Rinku ? o bhai! Kya ho gaya? Pagal saand tere pichhe pad gaye kya?†Chinu hanste hue bolta hai, lekin uski aankhen dost ki halat ko bariki se dekh rahi thi.
Apni saans normal karne ki koshish karte karte jhuk kar, dono ghutnon par haath rakh kar Rinku haanfte hue Chinu ko dekhta hai aur na chahte hue bhi uske chehre pe ek chhoti si muskaan aa hi jati hai apne dost ko dekhkar, lekin uski aankhon mein ek ajeeb si udaasi dikh rahi thi, jo Chinu se chhup nahi sakti thi.
“Tu thik hai na?†Chinu apna mazaak wala mood chhod kar halka sa serious hote hua puchta hai.
Rinku haan mein sir hilata hai, lekin uske shabdon mein confidence ki kami thi. “Haan… thik hoon, bas…†Ek lamhe mein sab samet ke apni baat ko kam shabdon me bolne ki koshish karta Rinku apne saamne khade Chinu ki usko scan karti nazron se zyada der apne andar ke bawandar ko nahi chhupa sakta tha to wo bol padta hai “Yaar, mujhe pata hai ki mujhe achha karna chahiye… mere mummy-papa mujh par bahut bharosa karte hain.†Uski awaaz dheere-dheere bhaari hoti gayi, aur phir usne ek lambi saans le kar apne gale ko saaf karne ki koshish ki.
Chinu uski taraf dheere se kadam badhata hai aur uske kandhe par haath rakhta hai. “Arre Bas !!!, To kya ho gaya? Presentation ka tension tujh jaise champions ko kab se hone laga?†Uska tone light tha, lekin uske shabdon mein dosti aur Rinku ke liye gehri fikr ka asar saaf jhalakta hai.
Back to Home
Like
Share